Hone na honay ke bohot se bahaane hain Chorey hain sath me kitne fasaanay Taraanay zamaanay ko de ke chalaa me Muthi hai band aur hath hawaa me Is ghari ka me shor karun band Dhindora ye peet rai ke dunya ye jeeti Par me bhi hun waakif Ke kon kahan pe Ye roz ke tamashay ke ye sooraj ka dhalna Aur moorat ka jalna Me likhta rahunga ke zor hai bazu me Banta hai qazi aur khot taraazu me Waazeh me kardun jo raaz ye tujhpe To dehr o haram ke bhi raaz ye khul jaen Mehr o karam to saaare hi baaqi hain Wehm o gumaan ki to dunya banaadi hai Teesra peher aur soch pe rok nai Sochun ke kaash hota kandhon pe bojh nai Ye jhuki hui nazron me sun raha pukaarain Ke ruki hui dharkan me dhoondun sayaaray Ke kahan chala hua mera saara hi kaafla Me haanpta hua barh raha hun barzarkh ki jaanib Meri baat na maanain Me kehta hun jaane den Sab kuch dubaa denge Apne gawaa denge Khoon baha denge? Badle me kya denge? Qarz jhukaa denge Farz nibhaalain! Kitne niwaalay utartay nai halaq se Falak se zameen tak ka kar ra shumaara Kyun lagta baatain saari phir se duhra raha Mujhe ruk jana chaiye Chup lagaiye Yaad dilaiye me kon hun kahaan se Me kyun hun aur kab tak? Ab tak to yahan hun aur kal se na waakif Is raah pe to ghark hue kitne hi saabiq Me saabit nai karne ko kuch bhi hun aaya Me sholon ke peeche ubharta hua saaya Mujhe paas to aane dain Kya hi gawah denge Karte bahaane kyun? Ghar to jalaane dain Dil to dukhaane dain Keh dain zamaane se Aag laga do ye banda haqeer hai Ungli hai ghee me aur banta faqeer hai Munkar nakeer bhi to kuch nai likh rahe Shetaan ke aks me ye aadam kyun dikh rahe? Baal kyun bikhre tum inko sawaaro Is taal ko tum teen bata chaar me gawaa do Haal sunaado tum kese ho dost? Chaal sanbhaalo tum gir rahe roz! Gheray hawaadis aur tum bekhof Seene laga ke kyun rakh rahe moat? Chak le phir rooh bhi tumhaari ye zaiqa Ke behes mubaisay ka koi nai faida Me bahir hi tha aaya tha tum masroof the Me bheent ke darwaza chala gaya ghoom ke Me aaun kya? Sunaun kya? Kitna sunoge aur kitne hi samjhoge? Ke siyahi me milke to doobna hai rangon ne Jitna miloge tum utni tabaahi hai Ye tera izhaar hai ya jhooti gawaahi? Rookhi hi khai jo roti thi haq me Me khud ko sawarun ya sehlun ye sadmay? Me had me bhi rehlun to kehte be had hai Me shar me sharam me kya hi bad hai? Hath ki lakeerain zanjeer ki zadd me Mehfil me laashon ki aagya barr me Par me ruka sa shaanasa ye sach hai! Waqt ka qaatil ke karta sabar me Zabbar me jabbar me to kya kuch hi khoya Khabbar me qabar me to kya kuch hi boya Kitna hi roya mein nay Kitne hy ashkon ko bhar ke is ghar me is maazi hai dhoya Tum rehne do Jaane do! (Jaanay do)