Bachpan se Aik hi khwaab raha Ke aik din banoon superstar Dil ki khwahish thi ye ke Dunya ko hunar dikhaoon ga Par kuch rukawatein theen Aur kuch theen ye majboorian Ke jo mein chahta tha banna Woh abb mein bann na sakka Ye parchaiyan theen Jo saath mein sadda theen Inn khwahishon ki rah mein Yun Tanha chala mein Aankhain hain aabdeeda aap beeti aap likhta Jaibon me sikkay aur note me jalaa deta Sarkon ke shor me jab suno kaheen gaana mera Jaan lena rooh meri hogai hai rangreza Bacha jo 30 30 ki cassetes khareedta Wo aaj un casstes ke artist ka pasandeeda Ruka na bayaan sar pe dhamkiyaan thi jaan ki Hawaa ke mukhaalif hi apni uraan thi Yahan Aag se khelna riwaaj mere sheher ka Aur ghar mera banna hua tinkon ke dher ka Dil me nichor deta kaaghaz ke dher pe Mere khoon se naslon ke dur ho andheray Me wohi sitaara jo roshan hamesha Me wohi kinaara me wohi andesha Me wohi sandesa me wohi hun rehbar Me kuch ka maseeha Me baqion ka kaafir Ye parchaiyan theen Jo saath mein sadda theen Inn khwahishon ki rah mein Yun Tanha chala mein Haathon ki lakeerein meri badlein roz ye Mein khud apne aapko nahi jaanta Afsos ye Jahan bhi chaloon mein andhera sa cha jaye Meri mojoodgi se dukh inke jaag jayein Toh Toh abb khush mein akela Mar gaya mein andhar se Mar gaya dil mera Tab hi awaaz mein meri kaala rang koi aesa Mein utha doon rhongte Mein rab ka rangreza Woh dekho taar pe bethi choti si chirya Woh dhoop dekho paar kare sheeshe ki khirkian Kaise noor dikhaye dhool ka zarra zarra Mein rab ka naam loon toh har koi chirchira Tab hi mere rishte zyada deir tak tikte nahi Khule dimagh loug mujhe sheher mein dekhte nahi Qalam ki sayahi ko kaaghaz pe behne do mujhe dukh pasand hai Mujhe parchayi mein rehne do Ye parchaiyan theen Jo saath mein sadda theen Inn khwahishon ki rah mein Yun Tanha chala mein