Chalo Dekh lete hain Koi baat nahi Koi baat nahi Dekh lete hain Me umeed ka sodaagar bechun tumko dilaase Me dur ka musaafir me khud bhatka yahan pe Mujhe khud nahi pata konsa raasta yahan theek Rishte itne kamzor jese snapchat ki streak Pichli seat pe me rickshaw ke teh karta dooriyan Anokha musaafir Mujhe film lage dunya Kitne kirdaar yahan rul rahe bazaaron me Kon khel raha khel kon khara hua kinaaron pe Jahan khara hojaun qasam se wohi mera sheher hai Aik sheher me dupeher to dusre me sapeher hai Ham sab is dunya me kuch na kuch bech rahe Umeedwaar, khareedaar yaar bohot pyaar kahan? Apne jab is dunya me muaiyyan hain chaar din Phir kya farq pare? pese rakhun kyun me gin gin? Ghaafil dost se khabardaar dushman ka waar sahi Har koi chahta par koi samajhne ko taiyaar nahi Apni chahat sambhaalay Chalta hai be sahaaray Chor na kya rakha hai? Haasil nahi kuch pyaaray Apni chahat sambhaalay Chalta hai be sahaaray Chor na kya rakha hai? Haasil nahi kuch pyaaray Muhallay ke uncle mujhe kaafir kehte ja rahe Aur unke hi bachay saare mujh hi se mutaasir Mera phone aese gire jese crypto ki market Teri fanbase toxic jese BTS army Tor aaya dum aaj jhelum kinaare Meri aakhri ye saans hui sadqay tumhaare Meri aas is raah me kyun sadiyan guzaare? Me raakh ki raah me ab to khush ho na pyaare? Mere naqshon me gum hogae raste tumhaare Mere mehel e jaan ki ab kyun dekho gir raheen dewaarain? Me haath upar kar kehta shukar hai khudaya Mujhe dedia hai BPD par doghla ni banaya Haath maarain mere maazi me Doobay peron tak ye shar me aur bane phirain qaazi Me raazi razaa ke is khel se hi aaq hun To tum sab phir kon ho ke tumhay me jawaab dun? Wahan maazi nelaam yahan jaltay hain choolhay Mere baatin ki laash tangi chatt se wo jhoolay Aur tum sab ke rolay aur maslay nai muktay Ghanta nai farq ke tum kis ke ho chuktay Tum sarhadon pe khara hue tamaashbeen Me gali me nikalta to tum jese teen Tere jese dou paalay mene aasteen me Aaj das rahe hain dono sab tamaashbeen hain! Kund zehen log banne yahan mahereen hain Zahiri ye kahiri me dairay me ghusne ki khuwahishen Me qaiday se karke muhaaiday Ye side pe najaiz hai ke jaane dun sar kahe farigh hain jaane de na Apni chahat sambhaalay Chalta hai be sahaaray Chor na kya rakha hai? Haasil nahi kuch pyaaray Apni chahat sambhaalay Chalta hai be sahaaray Chor na kya rakha hai? Haasil nahi kuch pyaaray Kyun aansu behtay tere hain bol na aey aadmi Ke mila tujhe dard jo to tum hi zimmedaar the Ye zaib nahi deta yahan mardon ka rona dhona Aadam ke naam pe tum laanat bano na Nikal jao ab ghar se ke pese hain kamaane Koi aasra nahi sab tere hi hawaale Dard sab ka hai aik sa to konsa kamaal hai? Ke khilaanay wala haath nahi ginta niwaalay Sawaal hai ya jawaab, mujhe farq nahi pata Doobna mujhe gehraai me main chahta nai satah Kisi ne bhi waadon ka yahan paas nahi rakha Kyun rakhun me sharaafat mujhe milti nai wajah Me gunehgaar sar se pair tak me shar me Me zimedaar khamoshi hai mere ghar me Ye aitbaar tha ke aankhain band karke Ham chal diye par ham ye samajh na sake ke Apni chahat sambhaalay Chalta hai be sahaaray Chor na kya rakha hai? Haasil nahi kuch pyaaray Apni chahat sambhaalay Chalta hai be sahaaray Chor na kya rakha hai? Haasil nahi kuch pyaaray