Toota toota ek parinda Toota toota ek parinda Toota toota ek parinda Toota toota ek parinda Kahani us parinday ki parwaaz asmaani Uraa jo leke beriyan Zamane ki parwaa nahi Wo Laabia ke paar uraa Apni qataar uraa Lagte rahe naaray ke bad-kirdaar uraa Naam nelaam ruswa wo sar e aam Is nagri haraam me hua wo badnaam Bole karlo tum hijrat to badle gi qismat Moat ke ghaat utaarain sab ki thi shirkat Abhi hi wo ghonsle se nikla tha baahir Nahi jaanta tha chonchle nahi dikhte bazaahir Ke Qaahir ke hathon me khanjar yahan aam hai Ke Tahir ke sar pe talwaar be niyaam Haraam jo mujhse tera mukhalif imaam hai Parinday ka phanday me sadiyon se qayaam hai Parinda jo jhaptay to kaam tamaam hai Parinda jo jhaptay to kaam tamaam hai Aesa hi parinda aaj mera unwaan hai! Besharam sab bol deta kesa bad zubaan hai! Shetaan ke haan bhi kab se raaij iztiraab hai Ke aese hi halaat phir kehlaate inqalaab? Me aasron pe jiyun me wo wala shakhs nahi Haasidon ke kandhon pe para mera takht nai Badbakht nai berukh nahi me dabbi hui uff nai Apne dafnaaye hain ye aqal mili muft nahi ♪ Me us sheher se pyaaray jahan music haraam tha Me us sheher me palla jahan eemaan nelaam tha Darwaazay pe the mulleh kehte chor do ye kanjar khaana Kaafir kehne waalon me mera apna Mamu jaan tha Rap ke to naam se ye sheher anjaan tha Ham tab bhi the stage pe Me tab bhi unwaan tha School tha rawaana parosi ka khulla darwaaza Andar se nikla beta bhaag gaya wo harbaraata Pata chala qatal kar gaya baap bhai ka Aik ghatiya si baat thi jaedaad ka tanaaza Khare bus stop pe saamne dhuen ka baadal Bomb ki awaaz hue shor se kaan band Sab bhaage kahain niklo tum jaan bachaake Ghar se thori dur hue teen dhamaake Unchi emaarton ke sheeshe neeche tootay paray Peron tallay niklay zameen jese kharay kharay Kitne jaan'ne waalay us din hogaye jaa'n bahaak Mere sheher ne to moat ka bhi bana dia mazaaq (Mere sheher ne to moat ka bhi bana dia mazaaq) (Mere sheher ne to moat ka bhi bana dia mazaaq) Aik din loata school se gali jung ka medaan bani Aamne saamne jaan'ne waale aik duje pe gun tanni Baap ka tha dost bola bhaago ghar ke andar jaao Bhaaga andar khirki me khara hua nangay paon Golian chaleen lagataar das minute tha tha Bachay ko lag gai jo sirf saat saal ka Saat saal umar aur 9 golian cheerain jism Bhaagi dono parties ke sar pe aagya qatal Me khirki se dekh raha tha seedha uski laash ko Khoon tha zameen pe nigaah aasmaan ko Farishte the chup Azraeel khara ro raha Ghadaar kaho me sabke ke pol khol raha Ghar pe badmaashon ne chala di thi goliyan Unki pusht panaahi me Bilour jese chutiya Aaj bhi me zinda ye muajzay se kam nahi Me aaj bhi us sheher me himmat ne tora dam nahi!