(Guitars) Soolhi pe charhay aashiq Munkaron ke taaj hue Shaam girhain phiray baandhte Raat ke khulay raaz pe Shaam girhain phiray baandhte Raat ke khule raaz pe Meri kamyaabi aur nakaami dono sath chalain Koi acha likhaari ya acha insaan bane Matlab ke wahan sunne waale sar pe Taaj rakhain Yahan mere ghar pe adhooray saray kaam paray Apnon ko shikwa ke me bolta nai zyaada Yahan mic pe me garhay murday khol ke dikhaata Matlab koi to tazaad hoga meri takhleeq me Aik hi tasweer me kyun chehray hazaar dikhain Me faani la-faani ke beech ka insaan hun Me kafiye radeef me hi rooh apni daal dun Me raazi razaa ke is khel se bhi aaq hun Me maazi aur kal ke maathe pe goli daag dun Jo tum sab ko dikhta me wo nai maseeha Me shayar hun qaayar hun jumlon main chupta Me ghonpta hun gallay apni shaklon ke roz Par me kese azaad jab me qaid ka hun dost? Wo kholta darwaazay mujhpe kholta wo rizq Aur me betha hua sehem ke qaffas se mujhe ishq Mujhe raas nai aai ye aazadi aur rehaai Mujhe aas nai chaiye mujhe chaiye duhaai To aajao tumhe dedun asleehat ke karway neem Aur tu naach jab tak bajte rahe zehreelay bheen Mere aas paas ke mardon ka zarf itna kam Ke wo lar rahe hain aurton se maangne pe haq Jab koi aurat yahan kahay mera jism meri marzi Mere aas paas ke mardon ki anaa yahan jalti Dete be maqsad daleelain puche haq kyun inhe chaiye Me kehta ghar ki aurton se baat kijye jaiye Tum roz beth ke yaaro me jo khiliyaan uraate Aur Izzat pe tere ghar ki roz wohi toofaan aate Tu na waakif hai tu waakif nahi bas itna hi hai farq Tera baap teri maa ke haqooq karta tarq Jaa k pooch apni maa se mera na tu yaqeen kar Mardangi ki aag me zameer legaya deen dharam Mujhe aage bolain mere nazariye sab ghalat Aik pe phenk dia tezaab, aik pankhay se gai latak Aur phir bhi teri jurrat puche kyun haqooq chaiye To phir se kehta maa behen se baat kijye jaiye Aur deni dedo gaali Tumse lakhon aaye pehle bhi Itni bari anaa nahi chup karke wo seh legi Par tum kya karoge jab zameer cheekhain maaray? Mere lafzon pe tanz tujhko nai bachaane waale Na dost yaar tere jo ke hassain mere huliye pe Waqif tu bhi andar se ke wo saare bhi wehshiye Wo noch khaalain aurat jo qudrat de unhe moqa Tu aankhon pe baandhe patti khud ko de raha tu dhoka Aur tu mujhe aage kehta mere lafz saare khoklay Tu apne hi ghar me aata selaab rok le Khalil Ur Rehman jese mardon ko poojte Jo darja insaaniyat se bhi neeche hain gire hue Khud jo pyaar apna haasil na kar sake Lage hue dunya ki aurton ko gaali dene Bas yehi rehgayi kya teri qull mardaangi? Ke aurat pe cheekh tuney baat anaa ki maan li Tu soche kahay deen tujhe ashraf makhlooqaat Par ye kahin nahi zikar jaake parhle tu Quran Ye khel mard zaat ka mazhab ki liye dhaal Apne iraaday wo pure karne daalta hai jaal Aur tu kabse phansa hua ussi jaal ke beech me Me azaad panchi tu tor zanjeerain ke Soolhi pe charhay aashiq Munkaron ke taaj hue Shaam girhain phiray baandhte Raat ke khule raaz pe Shaam girhain phiray baandhte Raat ke khule raaz pe