Lafzon me apne chupaa ke rakh lu Geeton me apne sajaa ke rakh lu Mere labon pe tu hi ghazzal Tere bina me adhoori nazam Lautay nahi ho ab tak ghar ko Tum bin kese raat dhallay? Darwazay pe nahi koi dastak Tum bin kese raat dhallay? Yehi shikwa Yehi gilaa hai tujhe ke Ke ziddi me Par ye shamma na bujhe Aur zidd bhi to meri sirf teri hi khaatir Aik mujhse tu waakif Aik mujhse nawaakif Me chor chuka jhooti umeedon pe rehna Me kharaa taiyaar ke me sehlun jo sehnaa Mere seene me himmat abhi bhi hai baaqi Me dunya se lar raha hun jangain bhi kaafi Me tootunga nai jese patta khizaan me Me wo phool zindaa jo registaan me Han me dunyaa se kaafi munfarid Na me murda khor na me jhund me koi gidh Na rind na nashay me Me chupta nai khof me Me aankhon me aankhain daale milunga moat se Ke bol, karke dikhaa tu judaa ab Hamaara muhaaida karega Khudaa ab Kyunke wohi jisne banae hain ye faaslay Ye tere mere jisne alag rakhe kaaflay Saath hi chale the par mukhtalif simt me Waqt guzarta ham pal rahe gintay Mintay kar kar me parwadigaar ki Ke kuch lamho ki to mohlat udhaar de Par maafi ke me wo nahi jo waqt ko chalaata Jo hota is laiq to me ghar loat aata Lautay nahi ho ab tak ghar ko Tum bin kese raat dhallay? Darwazay pe nahi koi dastak Tum bin kese raat dhallay? Meri simt in logon se mukhtalif Ham wo sitaaray jo ke girtay nai Tum dhoondo to aas paas mere jese hain kam kam Me kalaa ke pyaason ke liye jese zam zam Me kinaara kash is qul kainaat se Me aadam bezaar hua apni hi zaat se Ye baat mere baad jaake teri samajh aani Ke kese toofaan me bhi chup tha Durrani Kese wo ghar se hamesha hi dur raha Kese usse apna hi aap khara ghoor raha Qallam toota hua kheenchun pathar pe lakeerain Me azaad panchi tu tor zanjeerain Jal gaya gaon par me haar ni maana Itna asaa nai meri hasti mitaana Zamaana laga hua tum bhi karlo koshish Tum dekh nahi sak rahe ke moosa ya moses Me ghar se hoon door mera naam musaafir Me kuch ka maseeha me baqio ka kaaafir Me Haasil la Haasil ke farq se bhi waakif Me saadiq aur haasid ke bhaap lu maqaasid Jaanta hun aap sab raah meri dekhain par Ghar nahi aa paunga ke khaali hain jaibain Jo bhi kamaaya tha wo sab hi lutaa chukka Lafz mere paas the wo sab ko sunaa chukka Aaunga lekin rukaawatain giraa ke Uljhi jo dorain hain unko suljhaa ke Ye waada hai mera dar pe dunga me das tak To rakhna yaqeen intezaar karna tab tak Me waaday ka pakka ye tu bhi to jaanta Me raahain bhatakta par loat ke aata Me karta hun waada Yaqeen rakh! Lautay nahi ho ab tak ghar ko Tum bin kese raat dhallay? Darwazay pe nahi koi dastak Tum bin kese raat dhallay?