Yeh kaaghaz ka dil kyun hai tera? Jo bhi sunaa, likh diya Ghairon se hai kya gila? Tu meri zubaan ko na chalaa! Tor meri zanjeeron ko tu Jor meri tasweeron ko tu Aisay bhala kya jiyun mein? Aisay bhala kya jiye dil? ♪ Aey Azaad panchi Bol keh lab hain tere Azaad! Azaad hun mein! Kya azaad hai aasmaan? ♪ Chal rahe Pal rahe Wehshat me kyun tum? Tor do ye beriyan Qaid me kyun ho tum? Kya rakha hai wese bhi? Kya rakha hai wese bhi? Pair kyun dhansay hain rait me? Kyun betha tu par ko samait ke? Tu bhar le uraan (Bhar le uraan) Kya karna azaadi ko puch ke? Rihaa hona karke jo kooch to tera aasmaan (Aasmaan) Kitne kankar khaa ke ye dil abaad Mera dar konsa mere par azaad Aafaat ye dunya ki bethin hai ghair ke Me raat ka hun bhatka aur ugti sawair Meri beriyon ko tor de aur rooh ko rihaa kar Ye behti wi rait khara pair jamaa kar Uljhaa raha khud ko main maslon me aaj ke Riwaaj aur samaaj se kyun aage nai jhaankte? Qalamband karne ki kya thi wajah? Mera kya tha gunaah aur mili kya sazaah Gardishain thaam kitna dur jae raahi? Is bezubaan ki yahan kon de gawaahi? Aagahi aazmaish se guzar chuki baat ye Parinday ne seekha kese urna hai raat me Me haath ki lakeeron ko ragrun umeed me Ke shaayad badal sakun me sab khel ye naseeb ke Par kon yahan jeeta bina rooh ko gawae? Ye dunya ke pentray bhi kissay raas aaye? Me hoon ya nahi is sawaal me hi qaid hun Me aajiz to nahi ke me tere zulm seh lun! Rooh rangreza aur jism Khaaksaar Me kalaa ka pyaasa is raigistaan me Do chaar din ki to baat nahi dost Ye to sadiyon ka khel hai sab waqt ke hain khot Me roz hi larunga is murda samaaj se Me cheekhta rahunga ke lab ye azaad hain Me bolunga jab tak badlain na halaat Phir faiz Sahab ki tarhan chahay salaakhon me hi band dain ♪ Kyun Kaghaz ka dil hai mera? Kaghaz ka dil hai tera Hai tera