Kya dhoondta? Kya na mila? Chalte gaye Kis ko gilaa? Jo raasta tha "La-Makaan" Kese milay uska nishaa'n? Thaamay chalay ham gardishain Jalti zameen pe kabb tak chalain? Khamoshiyan Sargoshiyan Kaano me goonjay har pal sadaa Aag ke hi paas urain Aatish me ham kyun na jalein? Kis ke karam? Kis ki sazaa? Kon yahan apna hua? Kab tak me betha rahun isi intezaar me? Ke dekh sakun maslon se barh ke us paar me Ke tham jaaye seena aur ye hulchal khatam ho Ke raazi hojaun me khud bhi apne aap se Ke "Haasid" na bhatkain koi paas me mere Ke "Saadiq" hi takrain, na takrain lutairay Ke shor thora kam, ke khamoshi ho zyaada Ke farq se na takleef, ke sab ho amaada Ke soch meri aman ke hi geet rahe likhti Aur sirf muskurahatain ho'n chehray pe dikhti Aur sirf muskurahatain ho'n chehray pe dikhti Aur sirf muskurahatain ho'n chehray pe dikhti (Orchestra) ♪ Aag ke hi paas urain Aatish me ham kyun na jalein? Kis ke karam? Kis ki sazaa? Kon yahan apna hua?