Aakhri baar baat hui jab likh raha khabbarnaama Tuney kaha ab na aana to me kabhi nahi aaya Lekin ab baat karna hai zaroori Meri saansain ghat'ti jaari aur dharkanay kam hori Mujhe moat ke farishtey sunaana chahrey lori Par ye khat likhna zaruri kyunke Kaafi batain maazi ki mere seene pe hain sorahi Meri darkhanay kam horaheen Meri dharkanain kam horaheen Meri dharkanain kam horaheen Me jaanta hun, tera ghussa bhi jayiz hai Me jaanta hun, tu ghussay ka qaayil hai Ye zeher bhi tujhe mila hua hai viraasat me Tu baha de ragon se jo waqt tujhe ijaazat de Jaanta hun jab tuney apni jaan lena chahi Jaanta hun qaddar teri dunya ko na qaddar aaye Jaanta hun jo kuch tuney khoya is raaste pe Jaanta un saaron ko jo maiyyat pe naachenge Jaanta tum kitne mehroom rahe pyaar se Me jaanta ye sab ke ham aik kashti ke sawaar Aur me ye har giz nahi chahta ke tum mere jese bano Me aik buri misaal, mujh jeson se bacho Meri hi wajah se tere rishte gaye toot Par tu jaanta insaaf ke karway hote hain ghoont Aur me peeta raha hun, tabhi mujhme wo shaamil Me nas nas ko maar ke bana hun apna qaatil Tu badal de mustaqbil ke waqt abhi bhi baaqi Yaad rakhna waada aur nibhaana zimedaari Meri tarhan sheher kabhi chor ke na jaana Meri tarhan apne khwaabon ko phaansi pe na latkaana Me Jaanta nai nikal sake tum abu ki moat se Me jaanta ya jaanta jo koi apna kho de Me jaanta tu ghussa ke koi na tere saath tha Tu kyun rakh raha umeedain in logon se kya waasta? Ye ranj, gham, ghussa yehi khagya meri zaat ko Me yehi kehna chahta ke ab is zeher ko nikaal do Warna kuch saalon me tum bhi wahin pe hoge Jahan pe aaj me hun khara tum hath malo ge Me har wo wajah ke tum khud ko badal sako Me tumhaara kal umeed tum yaqeen kar sako (Deep breath) Me umeed karta hun ke yeh khat tum tak waqt pe pohunch jaega Waqt bohot kam hai Waqt bohot kam hai ♪ Ye us dost ke naam jo shayad kuch saal dur hai Wo dost jiski saans meri saans se majboor hai Me maaafi maanga chahta ke tum phans chuke is haal me Me sharminda hun ke sab biggar gaya chand saal me Me maanta meri wajah se mukkamal nahi hosake Gham seene me le gaye tum aansu nahi rosake Maanta ghudgharzi thi me maanta ye ghalat tha Par kya karta me dost mujhe aata nahi tha tareeka Kese chupaana seene me dabba hua malaal Kese hona khamosh chup rehna sab jaan kar Mera seena phat'ta jara tha aur rooh ko karna kooch tha Me in sab sawaalon ke jawaab kis se puchta? Me kis ko batata ke me hun kis fasaad me Me hans ke dikhaata raha ban ke azaad Mere dhong ki kamiyaabi hi shayad tera zawaal tha Koi pakar nahi paya tera dost bhi kamaal tha Dilaata raha bharosa ke wo theek hai wo theek nai Aur jhonpri khamosh me hi toofaa me bheeg gai Par ab koi faida nahi kisi qisam ki behes ka Hosake to rakh lena laaj mere rehes ka Bata dena unko bhi ke meri kya wajoohaat thi Sirf meri nahi ghalti ye dunya bhi badzaat thi Qismat ke maslay kuch ghaib ke hain pangay Tabhi aaj ye haath apne khoon me hain rangay