Jab shaam ke bazaar may saidaniyaan aayi Aur chadar ki jagah khaake safar baalon pe laayi Nagaah jab ghazi ki nazar kulsoom tak aayi Aur sar khaak par abbas ne naize se giraya Darr hai kulsoom ke chehre pe na padjaye nazar Noke naiza pe teharta nahi abbas ka sar Ek ghaiyoor wafadar pe ab aur sitam kya hoga Jiski chadar ka mohafiz tha wahi aaj hui beparda Shaam walo isi ehsaas se dourane safar Noke naiza pe teharta nahi abbas ka sar Darr hai kulsoom ke chehre pe na padjaye nazar Noke naiza pe teharta nahi abbas ka sar Noke naiza pe teharta nahi abbas ka sar Girgayi raah may naaqe se sakina to ye zainab ne kaha Ek chacha aur bhatije ki mohabat to zara dekh khuda Pushte naaqa pe sambalti nahi sheh ki dukhtar Noke naiza pe teharta nahi abbas ka sar Darr hai kulsoom ke chehre pe na padjaye nazar Noke naiza pe teharta nahi abbas ka sar Noke naiza pe teharta nahi abbas ka sar Shaam ke log tamashaayi bane aur tamasha sadaat Bewatan aur khule sar sare raah kare kya sadaat Khoon aankhon se bahaate shahe jin-o-bashar Noke naiza pe teharta nahi abbas ka sar Darr hai kulsoom ke chehre pe na padjaye nazar Noke naiza pe teharta nahi abbas ka sar Noke naiza pe teharta nahi abbas ka sar Aandhiyon khaak udao ke banhe isse haram ka parda Goonji jab shaam ke gham naak fazaon may ye zainab ki sada Aasmaan rone laga royi zameen ye kehkar Noke naiza pe teharta nahi abbas ka sar Darr hai kulsoom ke chehre pe na padjaye nazar Noke naiza pe teharta nahi abbas ka sar Noke naiza pe teharta nahi abbas ka sar Chasme sajjad se behne lage us waqt lahoo ke dhaare Jab ke masoom sakina ko sitamgar ne tamache maare Laasha saahil pe tadapta hai udhar aur idhar Noke naiza pe teharta nahi abbas ka sar Darr hai kulsoom ke chehre pe na padjaye nazar Noke naiza pe teharta nahi abbas ka sar Noke naiza pe teharta nahi abbas ka sar Rone walon sare bazaar khule sar thi ali ki beti Girgarya farte wafadaar jo naize se to hairaan thay shaqi Poocha abid se sitamgar ne batao kyun kar Noke naiza pe teharta nahi abbas ka sar Darr hai kulsoom ke chehre pe na padjaye nazar Noke naiza pe teharta nahi abbas ka sar Noke naiza pe teharta nahi abbas ka sar Saat sadaat ke shehzadiye kounain safar karti rahi Nowha karte hai nabi khaak udatay hai hasan aur ali Haaye kya waqt hai rote hai sina par sarwar Noke naiza pe teharta nahi abbas ka sar Darr hai kulsoom ke chehre pe na padjaye nazar Noke naiza pe teharta nahi abbas ka sar Noke naiza pe teharta nahi abbas ka sar Kabhi laila kabhi farwa kabhi kulsoom kahe wawaila Chehra baalon se chupate hue zainab ne yahi roke kaha Amma fizza zara dekho to ye gham ka manzar Noke naiza pe teharta nahi abbas ka sar Darr hai kulsoom ke chehre pe na padjaye nazar Noke naiza pe teharta nahi abbas ka sar Noke naiza pe teharta nahi abbas ka sar Nowha likhte huwe irfan ye mazhar ne kaha tha rokar Kaun khirtaas pe la sakta hai aulade payambar ka safar Ro diye qalb-o-jigar ek hi misra likhkar Noke naiza pe teharta nahi abbas ka sar Darr hai kulsoom ke chehre pe na padjaye nazar Noke naiza pe teharta nahi abbas ka sar Darr hai kulsoom ke chehre pe na padjaye nazar Noke naiza pe teharta nahi abbas ka sar Noke naiza pe teharta nahi abbas ka sar Noke naiza pe teharta nahi abbas ka sar