Kishore Kumar Hits

Katoptris - Umar 21 lyrics

Artist: Katoptris

album: Umar 21


Umar 21
Kal hi toh toh 10 ka thaa
Kandhon pe zimmedaari
Kal isspe bastaa thaa
Ghanti bajte hi bhaage daude seedhe bhaar sab
School se college, Pune se Deonar tak
Bachpan toh beeta apna dosti yaari main
Safar main thode bichde thode aur banaliye
Par ek baat hai pakki pauchna khud hai manzil pe
Par iska kya patah ki manzil kahaa pe?
Main gaata hu gaane banaata hu karta hu rap par kya hai ye mere liye?
Ye toh saari uparwaale ki den
Diya usne sab bhar bhar ke
Panno ko bharu main beth ghar pe
Shabdon main bahu main panghat ye
Aaj toh jeelunga sab theek par
Kalko toh khudke hai pet bharne
Parson toh sone ki thali main khaaya tha
Khaana maa ki meethi gaali ke saath
Saalon se baitha tha chhaon main dhoop ke
Bina hai podha ye ban gaya jhaad
Barson se jisne bhi baat ki paala tha posa tha sabne hi pyaar parosa
Padosi bhi aise khandan ke jaise, par aaj main karunga kispe bharosa?
Jab se tha paida zindagi hai jee ye seth wali
Amavasya main bhi na thi apni raatein kaali
Ab rahasya hai suljhaana hai ye maslaa
Chidiya ka hai aaya din, bhar udaan chhod de ghosla
Rasta hai lambaa, tu chunle jaana hai kidhar
Saalon baad aayega wapis phir tu iss nagar
Chaahe wo pedal ho scooty ho ya ho gaadi main
Chaahe Maruti, Mercedes ya Peeli-Kaali main
Teri kalam siyaahi
Khaali panna ye jeevan
Tu khudka hi sipaahi
Phool ek kaaton ke bheetar
Teri kalam siyaahi
Khaali panna ye jeevan
Mitti main khel le
Aaj mel hai saaf kar lenge kal
Tera hai kal
Tera hai aaj
Tera tu jo bhi chaahe
Teri fassal
Wo hi ugegaa
Jo tu bo te jaaye
Nadi ke paar
Ulti dhaara mein tu gote khaaye
Sapne khudke likhte hum
Haqeeqat ye kalam banaaye
Chalte jaaye
Nange paav
Pauche hum hai sooraj pe
Mann ki aisi taaqat paschim ko banaade poorab ye
Khud kare qayamat humpe karna na daya kab
Aankhe wahi hai apni soch badal
Dikhega naya sab
Tu na akela raahi
Mushkil samay lage jab
Aankhon ko bandh karke
Yaad karle tera maqsad
Manzil badalti rehti
Mann se badalte manzar
Safar main yaad rakh
Inn sekdo dilon main tera ghar
Teri kalam siyaahi
Khaali panna ye jeevan
Tu khudka hi sipaahi
Phool ek kaaton ke bheetar
Teri kalam siyaahi
Khaali panna ye jeevan
Mitti main khel le
Aaj mel hai saaf kar lenge kal
Jahaa bhi jaayega aayega wapis tu
Samay na rukega par iss pal ko kass tu
Likhle dastaan pakadle kalam tu
Kaagaz ke panno ko banade kaagaz ke phool
Jahaa bhi jaayega aayega wapis tu
Samay na rukega par iss pal ko kass tu
Likhle dastaan pakadle kalam tu
Kaagaz ke panno ko banade kaagaz ke phool

Поcмотреть все песни артиста

Other albums by the artist

Similar artists