Kishore Kumar Hits

yungsta - Chaapte Reh lyrics

Artist: yungsta

album: Chaapte Reh


Seekhe the pehle paath jo rakhu unhey yaad
Koi na karta kisika karza maaf
Pehle hum thodey mei poorey mazey letey kaat
Par abb
Haathon mei chahiye poori kaayanaat
Chalta raaj khuley mei gunda raaj
Yaha dabaata samaaj
Chahta bataana aukaat
Dasiyo tarah ki daalein ye rukaavat
Sab asal
Na kuch sajawaat
Thi harr raat amaawas
Kara bag baraamad
Dey tu salah mat
Jo saath salaamat
Rakhein parivaar saath
Karein hum hifaazat
Apna ye riwaaz abb
Badla hai libaas abb
Par hum bandey na badley
Bina nagad agar chahey tu dhandey toh chal dey
Ghar ko badh ley
Sahi jo sahi jo galt woh galt hai
Wafaadaar rakhu dal mei
Na kisike tukdon pey paltey
Hum woh jo tukdein hain kartein
Jo kiya khudke he bal pey
Chaatey na kisike talwey
Jaane scene apne jalwe
Sun baat chhotey
Naam hona apna upar jab bhi koi
Desi rap ka itihaas kholey
Mvmnt x gully gang yungsta, sammohit, SA kya boley? chhaaptey reh!
Saga na scene mei koi tu dhyaan sey reh
Bewajah adh mat aukaat mei reh
Duuri mujhse thodi naapke reh
Zabaan sey palat mat apni tu baat pey reh
Bheje gharpey paise mili dua
Diya baap ney keh
Chhaaptey reh x 4
Baap Tere Khade Hai Idhar
Bol Bete Jayega Kidhar
Hits Pure Saal ke meine Bag mein Bharke rakha hai mujhe kaiki Fikar?
Meri Linen Liqour
Sidha sar chade Bam fate
Aisa lagega jabhi se hum fate
Kam fatteh public ab scene mein
Kam fatteh public ab team mein
Asal mein Dreaming
Nahi mere sapnon pe koi rok abhi
Kill kiya inhein manalo shokh abhi
Bole khudko yeh best in the game
Aur Diss ke naam pe daale sadele jokes abhi
Hahaha
Shoot karun inhein
—————————-
Hosh mujhe mere ass pass ka
Tabhi chale mere fast fast hath (aye)
Gullygang Toh Gang ke Paise gully se
Ganda past par saaf hai dikhta money yeh
Zinda lash hai saare mere enemy
Zinda lash hai saare mere enemy
Saga Nahi Scene mein koi
Real nahi inmein koi
Bombay ke Top tere bhailog
Dar nahi jinmein koi
Saga na scene mei koi tu dhyaan sey reh
Bewajah adh mat aukaat mei reh
Duuri mujhse thodi naapke reh
Zabaan sey palat mat apni tu baat pey reh
Bheje gharpey paise mili dua
Diya baap ney keh
Chhaaptey reh
Chhaaptey reh
Chhaaptey reh
Chhaaptey reh

Поcмотреть все песни артиста

Other albums by the artist

Similar artists